Barsoon ki chahat ko..................... - Instablogs
Barsoon ki chahat ko.....................
Sunny , Shimla: Aug 10 2008
Made Popular Aug 11 2008

Barsoon ki chahat ko.....................

Barsoon ki chahat ko aik pal main badalte dekha hai maine

toot kar chahne waloon ko baat sai mukarate dekha hai maine

naaz karte thai jo apni wafaoun pai

unhi ko bewafai karte dekha hai maine

kaise sajja loon sapana apni udass aankhon main

har khuwaab ko toot kar bikharte dekha hai maine

karte thae jo wada hamesha sath chalne ka

phir unhi ko raasta badalte dekha hai maine

aitabaar na raha hai kissi par bhi kiya karain

is aitabaar ko bhi baar baar marte dekha hai maine

barsoon ki chahat ko aik pal main badalte dekha hai maine......

Add Images and Videos
Close X
Recommended Tags or Keywords
Search by Tags or Keywords
Selected Media ( You can Upload only Six media )
Sorry no picture found for this combination of tags. Try to search minimum number of tags at once
Add your Comment